Thursday, November 20, 2008

nasamjh


"aakhir kya chahta hai dil?
pata hai par khul ke kahne se darta hai dil,
chup rahne se sochta hai dil,
kah na pane se ghut ta hai dil,
aakhir kya chahta hai dil?
mausam hai suhana dil hai deewana,
sabke saath jana ya kisi ek ka sath pana?
aakhir kya chahta hai dil?
jo mil nahi sakta use hai pana,
ya jo mila use hai thukrana?
kho gai hai raahen kho gaya hai woh sahara,
par dil ko na hai yeh ganwara,
use to chahiye sirf wohi sahara,
aaj ke liye,kal ke liye,aur
aanewale har pal ke liye,
jo hai jine ka uska antim bahana,
bas yehi chahiye nasamajh dil ko,
ki kabhi bhi na chhute woh saath hamara"